Wednesday, January 6, 2016

Karma and Rebirth (Karm aiwam Punar Janam)

Harsh aur Vishaad - Yeh humari buddhi ka feir hai. Mann ko acha laga to harsh, Mann ko bura laga to vishaad, par sach to yeh hai ki hmaare liye koi bhi cheez na harsh ka karan hai aur naa hi vishaad ka.


Kai baar zindagi me hum aise mod par aa jate hai jahan sirf yaadein reh jaati hai. Aise mauke pe sirf udaasinta rehti hai ya vishaad. Kisi ko khone ka vishaad, kuch na kar paane ka vishaad, kisi ke guzar jane ka vishaad, kuch mil na paane ka vishaad. Sach to yeh hai ki naa to kuch hmaare harsh ka karan hai aur naa hi vishaad ka.

Aaakhir kya sambandh hai humara un sab cheejo se jo humei pyaari lagti hai - jaise maa baap, biwi, bhai, bachchey, naukri, aisho aaram. Jisey hum APNA kehte hai, is sansaar me aane se pehle wo humara kya tha, ya humse pehle wo kiska tha. Is sansaar me humara ussey kya sambandh hai aur uske jaane ke baad humara ussey kya sambandh hoga. Jaisey samundra me beh rahe lakdi ke kundey kuch deir ke liye ek dusrey se miltey hain, aur fir alag ho jaatey hain. Theek waise hi saarey rishtey kuch kshann ke hotey hain, isliye kisi ke jaane ka shok mat karo.

kayi cheeizei aisi hoti hai jo humei bohat pyaari hoti hai aur bhagwaan se hum unhe maangtey hai ki hey bhagwan humey naukri de do, us ladki se humari shaadi karwa do, badi gaadi dedo, acha jeewan de do.. wo sab chezei hum maangtey hai aur fir humey swayam anubhaw hota hai ki jisey paaney me humei sukh ka anubhaw ho raha tha, usey khone par humey dukh ka anubhaw hota hai.

Sach toh yeh hai ki Istridharam, Aishwarya, Sampatti, Rajya, Vaibhaw, Prithvi, Saina, Kosh, Sewak, Mantri, Sagey, Sambandhi, Mitra aadi sabhi anitya hai. Ek din sabhi nasht ho jaane wale hain. Jo anitya hai uska shok mat karo kabhi.Isliye vishaad karne ke jagah apne mann ka shaant karo, swasth karo aur isi mann ke dwara apne waastvik swaroop par vichaar karo aur dwetya bhram ko chodkar swayam ko shaanti swaroop param aatma me stith karo

Kisi ke jaane ya kisi ko khone ke baad hum wyarth hi vishaad wyakt karte hai. Shok me wyakul rehte hai us insaan ya us cheez ke liye jo humei chod ke chali gayi. uske fir se wapas laut aane ki kaamna kartey hai.

Raja Chitraketu ke putra ke marr jane ke baad dewarshi narad ne uske mrit putra ki jeev aatma ka aawaahan kiya. Us jeev aatma se jab poocha gya ki tumhare mata pita tumhare chalei jane ke baad vishaad wyakt kar rhe hai, shok me wyakul hai, tab us jeev aatma ne kaha - Dewarshi mai apne karmo ke anusaar kayi janamo se dewata, manushya, pashu pakshi, ped paudho aur na jaaney kitni yonio me bhatak raha hun. Yeh dono kis janam se mere mata pita huye, mujhe pta nahi. Waise mere hazaro mata pita hai, to kewal in dono ko hi mai apne mata pita kaise maan lun aur sachchai yeh hai ki mere koi mata pita nahi. Bhinn Bhinn janamo me sabhi ek dusrey ke rishtey naatey, bhai bandhu, mitra kshatru, udaasin, madyasth aur dweshi hote rehte hain. Sona chaandi aadi, khareedne bechne layak wastuyein bhi ek vyapaari se dusrey vyapaari ke paas aati jaati rehti hain, waise hi jeev bhinn binn yonio mein alag alag shareer badaltey rehta hai. Jeev nitya aur wastaw me ahankaar rahit hai, weh garabh me prawesh kar jab tak jis shareer me rehta hai, tab tak i weh us shareer ko apna samajhta hai. Aur jo jeev nitya awinaashi aur swayam prakaashmaan hai, uske liye janm aur mrityu kuch nahi hota. Iska naa koi priya hai aur naa koi apriya. Naa apna naa praya. Isliye dewarishi mai is shareer me wapas nahi aa sakta. Mujhe ab nayi yoni me janm lekar hi sansaar me aana hoga.

Moral - Wasnaayein hi PunarJanam ka karan hai. Humara prateyak karam aur Ichha, hmaare mann ya buddhi par apne chaap ya sanskaar chod jaatey hain. Mann par padey yeh sanskaar hi wasnaayein kehlaati hain. Wasnaayein hi humare vichaar aur usse utpann humare karmo ka prerak bal hai.Wasnaayein hi punarjanam ka mool hai. Wasnaayein humein Karm karne ke liye prerit krti hai. Aur jab un wasnaayon ka kshann nahi hota, to wo humare karan shareer me avitt roop mein bachi rehti hai, jiske karan ek poora janm smaapt hone ke baad bhi un bachi huyi wasnaayon ke karan jeev ko fir se janm lena padta hai taaki wo apni wasnaayon ko khatam kar sake. YAANI JAB TAK WASNAAYEIN HAIN, TAB TAK JANAM HAI, Is maarg se bachne ka ya rokne ke liye prati shann mann me ho rahi aniyantrit kriyaaon ka niyantran yaani dharm palan aur neeti purn vichaaro ka manan.Pathan pathaan mann buddhi ko shuddh kartey hain. Jab tak wasnaayein hai tab tak ichchayein hain. Jab tak ichchayein hain, tab tak punar janam hai. Karm ke is siddhant ko samajh jo kriya aur pritikriya ke pare chala jata hai, weh janm aur maran ke bandhan se mukt ho jata hai. Humare bhootkaal ke karm hi hmaare aaj ki rachna krtey hain aur hmaare aaj ke karam hmaare aaney waale kal ka bhawishya bnaate hain. HUMARA AAJ HUMARE KAL KE BEETEY HUYE KAL KA PARINAAM HAI. Aur hmaara aane wala kal humare aaj ka.Isi ko karam siddant kehte hai. Isliye hmaara bhagya hmaare hi haathon me hai. Jeewan me jo uncha neecha hum dekhte hai wahi bhagya ya prarabdh hai. Hum us prarbdh ka kis tariqey se saamna kartey hai wo hai humara purushaarth, so prayatan hi purushaarth hai.

vasamsi jirnani yatha vihaya
navani grhnati naro ’parani
tatha sarirani vihaya jirnany
anyani samyati navani dehi
"As a person puts on new garments, giving up old ones, the soul similarly accepts new material bodies, giving up the old and useless ones."


SOURCE - Doordarshan Series Upanishad Ganga(Full)-Episode-22-Theory of karma and Rebirth-Chitraketu



No comments:

Post a Comment