Wednesday, January 13, 2016

Vishwam Gurur-Mama (Whole World is my Guru)

                              VISHWAM GURUR-MAMA (Whole world is my Guru)

Sach jaan ne ki abhilaasha rakhne waloon ke liye to poora vishwa hi guru hai!!

Jeewan ki paathshaala me jisse bhi jo seekho wahi tumhara guru hota hai. Jo bhi agyaan ka andhkaar door kar de, weh guru hota hai. Aatm-Gyaan dene wala Sadguru ek hota hai, par guru aneik ho sakte hain. Jaisey avadhoot Datta-treya ke 24 guru. Is shrinkhla mein mai mere un sabhi guru ko warnan karna chaahunga jinse maine mere ab tak ke jeewankaal me kuch bhi seekha aur un guru-on ka jo ki dattatrey ke they-

1. MAA - Meri pehli guru meri maa jisne mujhe yeh bataya ki mai kaun hun. jisne mujhe ganit ke pahaadey yaad karne sikhaaey.

2. DHARTI - Yeh dharti sabhi ko samaan roop se dharan karti hai, sabhi ko samaan roop se aadhaar deti hai, sabhi ko samaan roop se swikaar karo, yeh maine dharti se seekha

3. VAAYU - Vaayu se maine jana ki sadhak ko vaayu ki tarah ache aur bure se aprabhaawit rehna chayiye

4. AAKASH - Aakash se maine jana ki aatma aakash ki tarah sarav vyaapi hai. Sabse aprabhaawit nirakar, nirvikaar apni usi awastha me rehta hai

5. AAG - Aag har aahaar grehan karti hai. Har samidha grehan karti hai, aur usey bhasm kar usey pavitra kar deti hai. Aag se maine jana ki brahm chintak ko agni ki tarah hi aahar grehan karna chayiye

6. SURYA - Jis prakaar surya ki chaaya alag alag paatro ke jal me alag alag dikhaayi deti hai, usi prakaar, yeh saari srishti usi ek aatma ki vibhinn chaya-yein hain

7. KABOOTAR - Ek baar shikaari ke bichaaye jaal me kabootar ke bachchey fass gaye. Kuch deir baad bhojan ikattha kar ghonsle me lauti unki maa bhi jaal me fass gayi. Un kabootaro se maine jana ki kis prakaar moh ,vinaash ko aamantran deta hai

8. AJGAR - Jis prakaar ajgar apney shikaar ki talaash me yahan wahan nahi bhatakta, waise hi gyaan ki abhilaasha rakhne wale ko sukh ke peeche yaha waha nahi bhatakna chayiye

9. SAMUNDRA - Jis prakaar samundra apni maryada ka ulanghan nahi karta, waise hi buddhimaan ko apni naitik maryada ka ulanghan nahi karna chayiye

10. PATANGA - Murkh wyakti indriyon ke sukhon ki aag ke kood swayam ko bhasm kar deta hai, parantu buddhimaan wyakti gyaan ki agni mein kood apne agyaan ka naash kar seemit se aseemit ho jaatein hain

11. HAATHI - Yaani Gaja. Haathi ke shikaari haathi ko pakadne ke liye nakli hathni bnaate hain ya paaltu hathni ka prayog karte hain taaki vey haathi ko lubha sakein. Sadhak ko kaam ke aaweig se door rehna chayiye, yeh maine haathi se seekha

12. MADHUA - Yaani shehad ikkatha karne wala. Madhumakkhi shehad ikkatha karne me apna samay ganwaati hai aur uska upbhog shehad ikkatha karne wala madhua karta hai. Isliye samay saadhno ko ek-katra karne me nai, swayam ko samajhne me kharch krna chayiye

13. MACHLI - Jis prakaar kaantey me lage padarth ke karan, machli us kaantey me fass jaati hai, waise hi manushya pralobhano ke karan se sankat me padta hai

14. TEER BNAANE WALA - Usse maine jana ki aatma par ekaagrta se hi sansaar ke prapanch ko andekha kiya ja sakta hai

15. CHOTEY BACHCHEY - Chotey chotey bachchey jo maan apmaan, tera mera, apna paraya, in sab se parey rehte hain

16. CHANDRAMA - Jis prakaar chandrama surya ke prakaash ko hi paravartit krta hai, yeh jeev aatma, usi ek param-atma ka hi prakash hai

17. MADHUMAKKHI - Jaise madhumakkhi fulon ko nuksaan pahunchaayei bina shehad ekkatra karti hai, waise hi aadhyatam ke pathik ko aneik shaastro se gyaan ka ras ekkatra karna chayiye

18. MRIG - Yaani Hiran. Usse maine jana ki Indriyon ki kaamna daastaan ka karan hoti hai

19. BAAJ - Jis prakaar maans ke ek tukde ke liye kayi shikaari pakshi ek saath maans par toot padtey hai aur paraspar ladtey hain, theek waise hi bhautik sukhon ki haud sangharsh aamantrit krti hai

20. KANYA - Ek baar kuch log us kanya ka haath maangne uske ghar aaye. Us samay us kanya ke mata pita ghar pe nahi they toh, atithiyon ko aaya dekh us kanya ne bhojan ke liye dhaan kootna shuru kar diya. Ab dhaan koot tey samay, us kanya ke haath me padi chudiya bajne lagi. Choodiyon ke khanakne ki dhwani se atithiyon ko pareshaani na ho, isliye usne dono haatho me ek ek choodi rakh baaki choodiyan utaar di. Is ghatna se maine jana ki doosrey ke hone se swar, shabd khatakne lagtey hain, bajne lagtey hain. Isliye sadhak ko akele rehna chayiye

21. SARP - Sarp ghar nahi banata, waise hi adhyaatam ke pathik ko aniket rehna chayiye

22. MAKDI - Jaise makdi apne jaal ki rachna karti hai, usmey vicharan karti hai aur ant me usey hi nigal leti hai, waise hi aatma apne sansaar ki rachna karta hai, usme vichran karta hai aur ant me yeh sansaar usi me vileen ho jata hai

23. ILLI - Illi lagataar bhramar ki aur dekhti rehti hai. Yeh nirantar bharamar ki taraf dhyaan illi ko bhramar ke parivartit kar deta hai. Guru aur Shishya ki chetna ka yeh sambandh mera 23wa guru hai

24. JAL- Jal sabki pyaas bujhata hai. Manushya, pashu pakshi, peid, paudhey sabhi ko jeewit rakhta hai aur humesha sabse neechli jagah pe rehta hai, waise hi buddhimaan ko bhi humesha sabse naganya sthaan grehan karna chayiye

SOURCE - Doordarshan TV Series - UPANISHAD GANGA

Episode 25 - Guru - Avadhoot

No comments:

Post a Comment