Tuesday, December 15, 2015

Previously I wanted to conquer the world, Now I want to conquer myself

Us shareer ka ek vishaal bhawan tha, is shareer ka sara sansaar hai
Pehle wo shareer sabko alag alag dekhta tha, ab yeh shareer swayam ko sab me dekhta hai

WO DUNIYA JEETNA CHAHTA THA, AB MAI KHUD KO JEETNA CHAHTA HUN


muktir hitvānyathā rūpaṁ

sva-rūpeṇa vyavasthitiḥ

Moksha param purushaarth hai, wo tumhara adhikaar hai
Dukho se mukti tumhara adhikaar hai, 
Bandhano se mukti tumhara adhikaar hai
Moh se mukti tumhara adhikaar hai

Dharam, Arth aur Kaam ke baad Moksha tumhara Adhikaar hai. Isi jeewan ka param purushaarth Moksha hai. Isliye jo hum dikhiye padte hai wo hum hai nahi. Apne asli Swaroop ko pehchaan na hi Moksha hai. Toh hum kya hai fir? Hum Amrit hai..jo jaan leta hai ki woh yeh shareer nahi hai. wo janam aur maran ke bandhan se mukt ho jata hai

Tum anaadi ho, avinaashi ho, isliye tum aisi rachna karna chahte ho, jo kabhi nasht na ho
Tum aseemit ho, anant ho, isliye tum aakash ko choona chahte ho, parvaton ko laanghna chahte ho
Tum dosh rahit rachna karna chahte ho kyunki tum nirdosh ho
Jab tak tum yeh shareer ho, seemit ho
Jaise hi tum apne waastvik swarop ko jaan ne lagte ho, tum nirakar, nirvikaar, anaadi, anant aur amrit jo jate ho, isliye apne chitt aur indriyon ke swaami bano, unke gulaam nahi
Indriyon ki gulaami se mukti - Yehi Moksha hai
Sukh mat maango - Sukh ke swaami bano - Yehi Moksha hai
Jo swayam satya chitt anand hai, wo bahar sukh dhund rha hai

Moral - We should release ourselves from our fears, ego, our desires, mind senses which wants us to something wrong, release ourselves from desiring comfort, blindness. But is this MOKSHA?

(Source - Doordarshan TV Series UPANISHAD GANGA Episode 12- The Human Goal)

1 comment: