Jeevan ke do maarg hai. Shreya aur Preya.
Aadhyatam se juda maarg Shreya hai aur bhog se juda maarg Preya. Buddhiman shreya ke maarg ko chunta hai. Nirbuddh apne liye preya ka maarg swikaar karta hai. Bhog ka maarg avidya ka, Agyaan ka maarg hai. Preya ka maarg chun ne wala sukh ko hi satya maan baith ta hai. Shreya ke maarg ko chun ne wala aatma ko hi sach maanta hai. Preya ka maarg indriyon ki aur le jata hai. Shreya ka maarg indriyon se pare le jata hai. Aatma ke satya ko tark se nahi jana jata. Shrotriya aur brahmnishth guru dwara diye gaye gyaan se hi aatma ka sach jana ja skta hai.
Is shareer ko tum rath aur is aatma ko tum rathi jaano. Buddhi ko saarthi aur mann ko lagaam jaano. Indriyaa rath ke ghodey hain. Aur vishaya charagaah. Jo chanchal mann ka hai. Jisne mann ki lagaam nahi kheench rakhi. Indriyaa uske vash me nahi rehti. Theek waise hi jaise dusht ghodey saarthi ke. Jo nischal mann ka hai, jisne mann ka lagaam kheench rakhi hai. Indriyaa uske vash me rehti hain. Jaise uttam ghodey saarthi ke. Vivek jiska saarthi hai. Jisne mann roopi lagaam kheench rakhi hai. Wahi manushya apne gantavya tak pahunchta hai.
Indriyo se indriyon ke vishaya shrestha hain. Vishaya se mann. Mann se buddhi aur buddhi se aatma shrestha hai. Jo is aatma ko jaan leta hai. Wah mrityu se pare chala jata hai.
Source - Doordarshan TV Series - Upanishad Ganga -

No comments:
Post a Comment