Tuesday, February 9, 2016

PARAM-ANAND - The True Self - The True Bliss - The Difference between Bliss and Happiness

                                 

Anandaddhevya khalvimani bhutani jayante
Anandena jatani jivanti
Anandam prayantyabhisamvishanti
–Taittiriya Upanishad (3.6.1)

Yaani Anand hi brahm hai, Yeh jaano
Is Anand se hi Jeewan ki Rachna hui hai, Is Anand ke Karan sabhi jeetey hain
Sabhi Jeevit isi Anand me sama jaatey hain, aur Anand ke saath ek ho jaatey hain
Is bhaag me mai jo cheezie btaane ja raha hu usse pehle yeh jaan lena awashyak hai ki SUKH kya hai..Khushi aur Anand me kya antar hai..isse pehle hum yeh jaane - ek sawaal -
Kya Shareer ka sukh hi sabse bada sukh hai?
Jo log  shareer ke sukh ya deh ke sukh ko sabse bada sukh samajh baith tey hain, veh asur kehlaate hain
“Asushu indriyeshi Ramanti iti Asuraah”
Jo is deh ko, is sthool shareer ko sukh maan baith te hain, jo Indriyon me raman karte hai, weh Asur hotey hain.

Anaatma ki aur bhaagne wale asur hotey hain, nirdhan hotey hain. Unhe Brahm ka gyaan nahi hota, isliye weh brahman bhi nahi ho sakte

ANAND (BLISS) - Aaatma ki khushi ko hum anand keh sakte hai. Jo kabhi na badle. Jo humesha sthaayi rahe. Wo hi sacha anand hai. Param Anand kisi Vyakti ya Vastu se nahi milta, isliye koi aapse weh cheen bhi nahi sakta

Hum jis anand ke peeche bhaagtey hain weh A-Sthaayi hota hai. Jaisey Shareer ka Anand, Paise ka Anand, Ghumne ka Anand, Kuch paane ka Anand.

Sachche Anand ki prapti ke liye humei wo Vivek jaagrit karna chayiye jo hmaari 6 Indriyo ka ek hissa hai. Weh Vivek jisse hume Aatma aur A-naatma ko alag alag dek sakein. Yeh wahi vivek hai jo is sthool sansaar ka anubhaw kar, aas paas ki ghatnaaon ka anubhaw kar humari karam-indriyon ko karam karne ka nirdesh deta hai. Agar Vivek sacha hai to humare karam bhi achche honge. Agar vivek ab bhi Anaatma ki aur milin hai to humare karam bhi usi prakaar honge. Isliye yeh jaan lena bohat awashyak hai ki Indriyaan kya hai aur is vivek ko kaise jaagrit karna chayiye.
(http://theblogtoremember.blogspot.com/2016/01/indriyon-se-mukti-freedom-from-senses.html)

Vivek jaagrit karna hai to nashwar vastuyon ke saakhsi bano. Satya ko jaano. Wo Satya jo Aprivartaniya hai. Jo kuch na hone ke pehle bhi tha. Jo kuch na hoga uske baad bhi hoga. Yehi Satya hai. Janam se Mrityu tak humaare shareer me aneik badlaaw hotey hain. Vichaar badalte hai, Kaal badalta hai. Parantu kuch aisa bhi hai jo kabhi nahi badalta. Weh hai Satya. Humari prakariti aur humare shareer ki chetna, humare indriyon ki sakriyata, usi ke hone ka pramaan hai. Yaane usi ki ichcha se hum jeetey hai aur marte hain. Usi ki ichcha se nadiyaan behti hain, usi ki ichcha se aag jalti hai aur jalati hai. Isliye us satya ko jaan ne ke liye us chetanya brahm ko anubhaw karna zaruri hai aur jo us brahm ko anubhaw kar pata hai wahi us param-anand ko pa sakta hai.

MORAL - This happiness or bliss is not in words stated above rather it is in your own search. Search for Bliss. If I point my finger toward this post, don't just look at my finger, move forward, apply this to self, then only you will be able to see that BLISS.
(FYI - This applies to me as well :-P )

PARAM-ANAND AATMA ya SACHIDANAND - Woh aatma jo mere bhitar hai, aapke bhitar hai, jiske hone se hum sab saansei le rahe hain. Wahi SACHIDANAND aatma hai. Yehi SATYA hai, kyunki yeh kabhi nahi badalta, yeh CHITT hai. Yehi humari buddhi ko chetna pradan karta hai. AATMA ka janam nahi hota isliye woh ANAADI hai. Is SATYA ka koi ant nahi hai, isliye woh ANANT hai. Yeh aatma PARAM-ANAND swaroop hai. Uska anand NITYA hai, AVINAASHI hai. Jaise kamal ka rang, uska aakaar, uski sugandh, kamal ke gunn hai. Par Satya Chitt Anand aatma ke gunn nahi aatma ke swaroop hai. Yehi anand sansaar ke saare sukhon se shrestha hai. Yeh Shareer, Mann, Buddhi - Inke sukh to kshaneek hai, jo nirantar badalte rehte hain, par SACHID-ANAND ya PARAM-ANAND aparivartaniya hai


Taittiriya Upanishad says: 'Raso vai sah. Rasam hyevayam labdhvanandi bhavati'
 –

'He the Highest Self is Bliss in itself. The individual soul becomes blissful after attaining that Bliss'

Two Realities of Life
There are two realities of life, the outer and the inner. In our day-to-day outer activities the experience of bliss can be hidden, just like the fluid property of water is hidden when it is ice. Our mind and senses are so accustomed to experiencing only outer objects and situations that the inner experience of latent, transcendental bliss is easily missed.
Most people experience happiness as a result of an outside pleasurable situation—the birth of a child, being with friends, walking in nature, enjoying a party, or if you are my brother, having a good game of golf. Actually, according to him golf might fall into thebliss category.
When the mind can begin to experience finer regions of thought through techniques like Transcendental Meditation, and eventually transcends even the finest level of thought, it will experience the state of pure bliss—its own essential nature. Gaining familiarity with our own inner bliss through regular experience of the Self allows us to then recognize the same bliss in our activity and all outer values of life, because the world is as we are. Very naturally and effortlessly we develop a state of Being that does not depend on anything from the outside for joy and at the same time infuses all aspects of our lives with greater happiness and a more profound sense of well-being, ultimately leading to enlightenment.

Why Suffer?

Many people feel suffering is a natural part of life. If you are not anchored to the silent, transcendental of your Being,  you can easily be tossed about by the constant changing circumstances of life. The path of bliss is straight, easy, effortless, and open to everyone because it is the essential nature of everyone. Why suffer or settle for only temporary happiness where we can enjoy our own essential nature—a state of pure bliss?



SOURCE(s) -

1. Doordarshan TV series  - Upanishad Ganga Episode 29- Atman - The True Self

2. http://www.enlightenmentforeveryone.com/bliss-our-essential-nature/

3. http://www.shrinathdham.com/resources/transcripts/ahmedabad-iskcon-vachanamrut-26th-nov-to-4th-dec/ahmedabad-iskcon-vachanamrut-excerpts-day-5.html?print=1&tmpl=component

No comments:

Post a Comment