Sunday, December 18, 2011

YAHAN BAARISH BADI AJEEB HAI


Yahan baarsih badi ajeeb hai

Har pal na jane kitne sawal paida krti hai

Jitna mai bachna chahu utna mjhe bhigaaati hai

Kuch to baat hai lekin

Jo na chah ke bhi mai milne laut jata hun


Tanhaa jab bhi hota hun, udaasi ke ghere me

Aa jaati hai milne chupke se, sharmaati hui

Aur kabhi gussa hoti hai to, Badal sar pe utha leti hai


Sunehra ehsaas hai, sur hai aur saaz hai

Cham cham in boondon me jaane kiski aawaz hai

Halke cheentein, sard hawa, tanhaai ka aabhas hai

Na jaane kya kehna chahti hai

In sawaalon me chupe jaane kitne raaz hai


Kabhi apni si lagti hai, kabhi ajnabi praayi

Hansaati hai, rulaati hai, sikhaati hai

Zindagi ke naye rang dikhaati hai

Aur bas yun hi mai sochta hun

Yahan baarish badi ajeeb hai

No comments:

Post a Comment